The Urdu Poetry Experiment

Here’s a poem in Urdu I wrote a long long time back. A friend asked to read something by me in Urdu, so I’m putting it up here. Feeble attempt, but I hope you like it.

 

door kahin weeranay main

ik aag lagi

kuch dhuaan utha

jo dil jalay

woh raakh huay

par shaula woh jalta hi raha.

 

woh hijr ka ik chirgh tha

kai din, kai raatain nigal gaya

baras beet gaye uss roshni main

par shaula woh jalta hi raha.

 

kai ashk giray thay uss par

iss aas main ke ik din bujh jaaye

par woh lau hi kya jo madham ho

aur shaula woh jalta hi raha.

 

uss roshni main, ay humnawa

shab-e-firaq naha gai

aur dil mera ik baar phir

khamshi se sulag gaya

raakh hua

kuch dhuaan utha

par shaula woh jalta hi raha.

Tagged , , , ,

2 thoughts on “The Urdu Poetry Experiment

  1. khadeeja says:

    chirgh kya hai? good one, keep writing more in urdu 🙂

Leave a reply to bunnythewabbit Cancel reply